Hum khud ko dhoondhte hain aajkal,
Kabhi aayine main kabhi apni aakhon main,
Kuch dhundli parshaiyaan yaad aa jaati hain,
Aur jee lete hain hum un mushkuraton main;
Wahi mil lete hain hum khud se,
Chand lamho ke liye hi sahi,
Beparwaah hokar guzare the jo humein,
Koi din the to din the wahi!