Yeh Pardarshi Aakritiyaan
Yeh Pardarshi Aakritiyaan, dil main uthal puthal machati hain,
Kabhi sach main, kabhi swapan main, kuch chanchal sa kar jaati hain,
Main naa jaanu ki, yeh dil main kaunsa raaz chupati hain,
Bin kuch kahe saath milkar, pratidin chitra naye banati hain,
Yeh Pardarshi Aakritiyaan.............
Kuch anchuye pehluon pe jaake, rang naye phelati hain,
Kuch ankahi baaton ko, sabke saamne le aati hain,
Kabhi sawaal banke, kabhi jawab banke, khel naye dikhlati hain,
Kabhi badhte samay ke saaye main, kuch dhundhali si padh jaati hain,
Yeh Pardarshi Aakritiyaan.............
Kabhi duniya ke us maalik ka, nanha pratibimb dikhati hain,
Asamjas ki awastha main, do se chaar ho jaati hain,
Soch ke sagar main doob, sapno ke gote lagati hain,
Aur chand khushi ke lamho main, adhro pe muskaan le aati hain,
Yeh Pardarshi Aakritiyaan.............
Dukh ke saaye main bheetar, ghanghor shor machati hain,
Raat ki neend chod, din ki chetana bhi le jaati hain,
Phir naaye saachein main dhalkar, vibhhinn rup se darati hain,
Par ek baar tum jo mann bana lo, har mushkil se lad jaati hain,
Yeh Pardarshi Aakritiyaan............
Roop alag, swaroop alag, par hain yeh pratima hum sab ki,
Kabhi socha hain ki, yeh chupke se, humare vicharo main kyun aati hain?
Saam, daam, dand, bhed se, sabhi bhaavo ko upar le aati hain,
Yahi to kaam hain inka, pardarshi hokar bhi raastan dikhati hain,
Yeh Pardarshi Aakritiyaan.............