Economic's Class
Yeh classes ki bhi ajib kahani hain,
Suno to gyaan, naa suno to behta paani hain,
Ek baar maine socha, iski gehrayi ko samjh ke dekhu,
Par us din sir ne bhi socha, kyun naa ek bouncer pheku.
Bahut koshish ki par kuch samjh naa aaya,
Wohh tables aur charts ka sir ne jo jaal bichaya.
India, China, US ke aage gadhi nahin badti,
Aur sir ki saari bakar mere palle nahin padti.
Phir socha kyun naa ek cartoon banau,
Talent to talent hain, kisi bhi field main dikhau.
Par paper aur pencil ki kami nazar aayi,
Shabdo ke bhawar ne mere dimag main khalal machayi,
Panktiyon ko joda to antra ban gaya,
Class main time pass karne ka tareeka mil gaya.
Yeh kavita mere class main bore hone ki nishani hain,
Yahi aur sirf yahin , meri har Eco class ki kahani hain.

bahut khub...!!!
ReplyDeletebura na mano to kuch lines as added comments:
ye classon ki duniya hoti itni kyon ajeeb hai
sikhata koi kuch to koi sikhta kuch aur hai
shukriya tumhe e classonki duniya,
daulat jo tumne hai mujhko dikhlai
bhale sikha nahi kuch jo sikhlaya tumne,
par anjane me hai tumne 'duniya' sikhwayi...