Kya sachmooch budhaapa aisa hota hai ?
Cheezein mere haathon se apne aap fisal jaati hain
Chai mere kurte par giri hui nazar aati hai
Mujhe ajkal kuch yaad kyu nai hota hai
Kya sachmooch budhaapa aisa hi hota hai ?
Din ke teen baje walk par chali jati hu
Students dwaara daadi maa kehlaai jati hu
IP par bakar karne par control kyu nai hota hai

Flirt kare ek zamaana beet gaya hai
Ab lagta hi nahi, kisi ladke me kuch naya hai
Mera to thikaana bas rajasthan ya gota hai

SAC ya Neta ban main badi badi baatein kar aati hun
Nirma ke bachchon ko pareshani ho to pyaar se samjhaati hun
Itni panchayati karti hun ki har koi mera shrota hai

Comments
Post a Comment